Khare hain Takht ke oopar, umar dono ki baali hai
Bane ke haath mein Teeka, Bani kaa Maang Khaali hai 2
Pahna do Apne Haathon se
Ye ulfat ki nishaani hai, Mohabbat ki Nishaani hai
Khare hain Takht ke oopar, umar dono ki baali hai
Bane ke haath Nathiya Teeka, Bani kaa Naak Khaali hai 2
Pahna do Apne Haathon se
Ye ulfat ki nishaani hai, Mohabbat ki Nishaani hai
Khare hain Takht ke oopar, umar dono ki baali hai
Bane ke haath mein Jhoomak, Bani kaa Kaan Khaali hai 2
Pahna do Apne Haathon se
Ye ulfat ki nishaani hai, Mohabbat ki Nishaani hai
Khare hain Takht ke oopar, umar dono ki baali hai
Bane ke haath mein Maala, Bani kaa Gala Khaali hai 2
Pahna do Apne Haathon se
Ye ulfat ki nishaani hai, Mohabbat ki Nishaani hai
(To continue with every jewel)
No comments:
Post a Comment